Shafiq Asif

agar wo ham-safar Thahren to hum ko Dar mein rakhte hain

Shafiq Asif

agar vo ham-safar Thahreñ to ham ko Dar meñ rakhte haiñ
bikhar jaa.eñ na ham ḳhud ko muqayyad ghar meñ rakhte haiñ
hameñ sayyārgāñ kī gardisheñ ma.alūm haiñ lekin
ham apnī gardishoñ ko apne hī mehvar meñ rakhte haiñ
safar ke ba.ad rahte haiñ tasalsul meñ safar ke ham
talāsh-e-rizq kā jazba shikasta par meñ rakhte haiñ
hamārā hāl-e-dil ab tak kisī par khul nahīñ paayā
vufūr-e-dard ko ham zabt kī chādar meñ rakhte haiñ
koī qārūn baaqī hai na koī shaah ab 'āsif'
vo kaise log haiñ ḳhud ko jo qaid-e-zar meñ rakhte haiñ
Top Urdushayar.com