mohabbat kī karishma-sāziyāñ āvāz detī haiñ
tirī yādoñ kī alhaḌ shoḳhiyāñ āvāz detī haiñ
musāfir lauTnā chāho to lamhoñ meñ palaT jaao
tumheñ sāhil pe Thahrī kashtiyāñ āvāz detī haiñ
zarā sī der meñ mausam badalne kā zamāna hai
havā ke bāzuoñ kī chūḌiyāñ āvāz detī haiñ
ḳhizāñ ke ḳhauf se sahme parindo lauT bhī aao
tumheñ phir lahlahātī Tahniyāñ āvāz detī haiñ
chale jaate haiñ ham apnā lahū īñdhan banāne ko
dhuāñ detī huī jab chimniyāñ āvāz detī haiñ
maiñ jab bhī shab ke dāman par koī sūraj ugātā huuñ
tirī sochoñ kī gahrī badliyāñ āvāz detī haiñ
zarā sī der ko kuchh shādmāñ lamhe atā kar do
zarā sunñā ġhamoñ kī talḳhiyāñ āvāz detī haiñ
'shafīq' ahbāb aksar yaad aate haiñ hameñ ab bhī
havā ke saath bajtī tāliyāñ āvāz detī haiñ