kahne meñ nahīñ haiñ vo hamāre ka.ī din se
phirte haiñ unheñ ġhair ubhāre ka.ī din se
jalve nahīñ dekhe jo tumhāre ka.ī din se
añdhere haiñ nazdīk hamāre ka.ī din se
be-sub.h nikaltā nahīñ vo raat ko ghar se
ḳhurshīd ke andāz haiñ saare ka.ī din se
ham jaan ga.e aañkh milāo na milāo
bigḌe hue tevar haiñ tumhāre ka.ī din se
kis chāk-e-garebāñ kā kiyā aap ne mātam
kapḌe bhī nahīñ tum ne utāre ka.ī din se
dīvāna hai saudā.ī hai farmāte haiñ aksar
in nāmoñ se jaate haiñ pukāre ka.ī din se
dil phañs gayā hai aap kī zulfoñ meñ hamārā
haiñ banda-e-be-dām tumhāre ka.ī din se
muñh gaal pe rakh dete haiñ sote meñ chimaT kar
kuchh kuchh to hayā kam huī baare ka.ī din se
mehñdī bhī hai missī bhī hai lākhā bhī hai lab par
kuchh rañg haiñ be-rañg tumhāre ka.ī din se
Dar se tire kākul ke nahīñ chalte haiñ raste
dam band haiñ is saañp ke maare ka.ī din se
āḳhir mirī aahoñ ne asar apnā dikhāyā
ghabrā.e hue phirte ho pyāre ka.ī din se
kis kushta-e-kākul kā rakhā sog mirī jaañ
gesū nahīñ kyuuñ tum ne sañvāre ka.ī din se
pāmāl karoge kisī vārafta ko apne
aTkheliyāñ haiñ chaal meñ pyāre ka.ī din se
ik shab mire ghar aan ke mehmān rahe the
aa.e nahīñ is sharm ke maare ka.ī din se
phir 'shauq' se kyā us but-e-ayyār se bigḌī
hote nahīñ bāham jo ishāre ka.ī din se