shauq ko āzim-e-safar rakhiye
be-ḳhabar ban ke sab ḳhabar rakhiye
chāhe nazreñ ho āsmānoñ par
paañv lekin zamīn par rakhiye
baat hai kyā ye kaun parkhegā
aap lahje ko pur-asar rakhiye
jaane kis vaqt kuuch karnā ho
apnā sāmān muḳhtasar rakhiye
ek Tuk mujh ko dekhe jaatī haiñ
apnī nazroñ pe kuchh nazar rakhiye