Ehtisham ul Haq Siddiqui

tere badan ki nazakaton ka hua hai jab ham-rikab mausam

Ehtisham ul Haq Siddiqui

tire badan kī nazākatoñ kā huā hai jab ham-rikāb mausam
nazar nazar meñ khilā gayā hai sharāratoñ ke gulāb mausam
ham apne gum-gashta valvaloñ par ḳhunuk havāoñ ke qahqahoñ kā
javāb dete jo saath laatā hamārā ahd-e-shabāb mausam
vo ek banjar zamīn ghar kī jo sun rahī thī sabhī ke ta.ane
ḳhushā ki is baar is zamīñ ko bhī de gayā ik gulāb mausam
amiir logoñ kī koThiyoñ tak tire ġhazab kī pahuñch kahāñ hai
faqat ġharīboñ ke jhoñpaḌoñ tak hai terā dast-itāb mausam
ye barf pighlegī choTiyoñ se paroñ meñ aa.egī phir harārat
bhareñge ūñchī uḌaan phir ham rahegā kab tak ḳharāb mausam
Top Urdushayar.com