husūl-e-maqsad meñ āḳhirash yuuñ rahegī qismat daḳhīl kab tak
tum apnī nākāmiyoñ pe doge muqaddaroñ kī dalīl kab tak
samundaroñ kī riyāsatoñ ko luTā ke āvāra phirne vaalo
ab ek qatre kī minnatoñ se karoge ḳhud ko zalīl kab tak
tū mard-e-momin hai apnī manzil ko āsmānoñ pe dekh nādāñ
ki rāh-e-zulmat meñ saath degā koī charāġh-e-alīl kab tak
jalāl-e-rafta ko bhuul bhī jā zarūrat-e-hāl par nazar kar
rakhe gā chūlhe kī aag ThanDī pa.e-vaqār-e-qabīl kab tak
darāzi-e-qad se aadmī ko nasīb hotī nahīñ bulandī
tujhe fareb-e-farāz degī ye kajkulāh-e-tavīl kab tak