is marīz-e-ġham-e-ġhurbat ko sambhālā de do
zehn-e-tārīk ko yādoñ kā ujālā de do
ham haiñ vo log ki beqaum vatan kahlā.e
ham ko jiine ke liye koī havāla de do
maiñ bhī sach kahtā huuñ is jurm meñ duniyā vaalo
mere hāthoñ meñ bhī ik zahr kā piyāla de do
ab bhī kuchh log mohabbat pe yaqīñ rakhte haiñ
ho jo mumkin to unheñ des nikālā de do
vo nirāle haiñ karo zikr tum un kā 'dānish'
apnī ġhazloñ ko bhī andāz nirālā de do