ragoñ meñ zahr-e-ḳhamoshī utarne se zarā pahle
bahut taḌpī koī āvāz marne se zarā pahle
zarā sī baat hai kab yaad hogī in havāoñ ko
maiñ ik paikar thā zarroñ meñ bikharne se zarā pahle
maiñ ashkoñ kī tarah is dard ko bhī zabt kar letā
mujhe āgāh to kartā ubharne se zarā pahle
koī sūraj se ye pūchhe ki kyā mahsūs hotā hai
bulandī se nasheboñ meñ utarne se zarā pahle
kahīñ tasvīr rusvā kar na de mere tasavvur ko
musavvir soch meñ hai rañg bharne se zarā pahle
sunā hai vaqt kuchh ḳhush-rañg lamhe le ke guzrā hai
mujhe bhī 'shād' kar jaatā guzarne se zarā pahle