udaas udaas the ham us ko ik zamāna huā
ġhazal kā aa.ina dekhā to muskurānā huā
na jaane kitne hī ḳhabroñ ne ḳhud-kushī kar lī
chalo ki aaj kā aḳhbār bhī purānā huā
phir aaj biite hue mausamoñ kī yaad aa.ī
phir aaj reñgte lamhoñ se dostāna huā
ye band kamre kī tanhā.iyoñ kā ġhul thā ki phir
hamāre vahm par ik vaar qātilāna huā
vo fāḳhta thī jise goliyoñ ne bhuun diyā
ye qatl sehn-e-gulistāñ meñ jārehāna huā
hamārā shahr rahā sirf valvaloñ kā hī shahr
use nasīb kahāñ zalzale ugānā huā
vo munhadim sahī dīvār to milī ai 'rind'
usī ke saa.e meñ taskīn kā Thikānā huā