sabā guloñ kī har ik pañkhuḌī sañvārtī hai
ajiib Dhañg se ye aartī utārtī hai
ufuq pe phir ubhar aa.e haiñ tīrgī ke nasheb
umiid jiitī huī dil kī baazī hārtī hai
lahak ke guzrī hai kuchh yuuñ murād kī ḳhushbū
ki ruuh phir dil-e-hassās ko pukārtī hai
ḳhamosh shahr kī sunsān sard rātoñ meñ
tumhārī yaad mire saath shab guzārtī hai
charāġh-e-hasrat-o-armāñ jalāo.ge kaise
havā-e-dahr to rah rah ke phūñk mārtī hai
sajā.e haiñ baḌī mushkil se 'rind' palkoñ par
jinheñ tum ashk samajhte ho dil kī aartī hai