Rind Saghari

har ek jism pe bas ek hi se gahne lage

Rind Saghari

har ek jism pe bas ek se gahne lage

hameñ to log tumhārā ruup pahne lage

bas ek lau nazar aa.ī thī phir us ke ba.ad

bujhe charāġh siyah pāniyoñ pe bahne lage

use bhī hādisa kahiye ki ḳhushk dariyā par

paḌī jo dhuup to patthar pighal ke bahne lage

rutoñ ne karvaTeñ badlīñ to ham ne bhī ik baar

phir apne ghar ko sajāyā aur us meñ rahne lage

na jaane kyuuñ mire ahbāb mere baare meñ

jo baat aam thī sargoshiyoñ meñ kahne lage

jo qatra qatra piyā ham ne zindagī zahr

to 'rind' ban ke har ik dil dard bahne lage

Top Urdushayar.com