Khursheed Akbar

ye kaisa shahr hai main kis ajaib-ghar mein rahta hun

Khursheed Akbar

Sheikhpura, Bihar, India

1959
ye kaisā shahr hai maiñ kis ajā.ib-ghar meñ rahtā huuñ
maiñ kis kī aañkh kā paanī huuñ kis patthar meñ rahtā huuñ
vo ḳhushbū is ta.alluq se bahut bechain sī hogī
maiñ kāñTā thā magar ik phuul ke bistar meñ rahtā huuñ
use ik din yahī ḳhāna-badoshī ḳhud batā.egī
maiñ apne ghar meñ rahtā huuñ ki us ke ghar meñ rahtā huuñ
agar mohlat mile to qātilān-e-shahr se pūchhūñ
maiñ kis kī jaan huuñ kyuuñ sīna-e-ḳhanjar meñ rahtā huuñ
mujhe ye be-panāhī kab tirā rasta dikhā.egī
tirī āvāz huuñ aur gumbad-e-be-dar meñ rahtā huuñ
ye sab ḳhush-posh chehre ho chuke haiñ munkashif mujh par
maiñ un ke darmiyāñ kyuuñ jāma-e-mahshar meñ rahtā huuñ
ḳhudī kyā chiiz hai 'ḳhurshīd-akbar' aur ḳhudā kyā hai
kahūñ maiñ kis zabāñ se dast-e-āhan-gar meñ rahtā huuñ
Top Urdushayar.com