ghar-bār kahāñ kūcha o bāzār mirī jaañ
darvesh ko duniyā nahīñ darkār mirī jaañ
ik shahr zamīñ-bos hai aamad pe tumhārī
raste meñ bichhe haiñ dar-o-dīvār mirī jaañ
kyuuñ arsa-e-aflāk siyah-posh hai bolo
kis tarah zamīñ ho ga.ī gulnār mirī jaañ
kuchh phuul haiñ shāḳhoñ se abhī jhuul rahe haiñ
ruḳhsār pe rakkhe hue ruḳhsār mirī jaañ
rotā huuñ to sailāb se kaTtī haiñ zamīneñ
hañstā huuñ to Dhah jaate haiñ kohsār mirī jaañ
sunte haiñ falak-bos imārat hai tah-e-āb
kyā shahr thā kyā mauj kī raftār mirī jaañ
dil hai ki abhī dard ke narġhe meñ ghirā hai
chehra hai ki aalam meñ hai aḳhbār mirī jaañ
tā-umr na milne kī kasak saath rahegī
pahlā to nahīñ āḳhirī dīdār mirī jaañ