shaam tak phir rañg ḳhvāboñ kā bikhar jā.egā kyā
rā.egāñ hī aaj kā din bhī guzar jā.egā kyā
DhūñDnā hai ghup-añdhere meñ mujhe ik shaḳhs ko
pūchhnā sūraj zarā mujh meñ utar jā.egā kyā
māntā huuñ ghuT rahā hai dam tirā is habs meñ
gar yahī jiine kī sūrat hai to mar jā.egā kyā
ain mumkin hai bajā hoñ tere andeshe magar
dekh kar ab apne saa.e ko bhī Dar jā.egā kyā
soch le parvāz se pahle zarā phir soch le
saath le kar ye shikasta bāl-o-par jā.egā kyā
ek hijrat jism ne kī ek hijrat ruuh ne
itnā gahrā zaḳhm āsānī se bhar jā.egā kyā