kab kisī gahre samundar ko havā samjhegī
sat.h par tairtī maujoñ ko navā samjhegī
do badan dard kī lahroñ pe bhī mil sakte haiñ
is risālat ko kahāñ bād-e-sabā samjhegī
ruuh kā zaḳhm na paḌh pā.egā gautam phir bhī
vo pujāran isī patthar ko ḳhudā samjhegī
vaqt kāfir kī ḳhudā.ī hai gunahgār bahut
saarī ma.asūm namāzoñ ko qazā samjhegī
is havelī kī rivāyat hī sharīfāna hai
ḳhud ko nīlām chaḌhā kar bhī bajā samjhegī
jaane kab utregā 'ḳhurshīd'-e-bashārat mujh meñ
kab ye tanhā.ī mujhe ġhār-e-hirā samjhegī