mat use haath lagānā vo sajan aag hai aag
tum use ḳhaak samajhte ho badan aag hai aag
us kī hasrat meñ bhale log mare jaate haiñ
kaun samjhā.e ki vo ġhuncha-dahan aag hai aag
apnī tahzīb ko paanī kī zarūrat hogī
chuum aayā huuñ lab-e-gañg-o-jaman aag hai aag
vo jo momin hai to miTTī hī kafan hai us kā
aur kāfir hai to phir us kā kafan aag hai aag
saare sayyāre sitāre bhī haiñ ātish-pāre
ye zamīñ aag kī hai nīl-gagan aag hai aag
phuul khilte haiñ ki bārūd ḳhabar bhī denā
kitnā shādāb hai aur kitnā chaman aag hai aag
sard alfāz ko baḳhshī hai harārat kis ne
rashk-e-'ḳhurshīd' hai vo us kā suḳhan aag hai aag