Khursheed Akbar

dekhte dekhte jab maut sitare ki hui

Khursheed Akbar

Sheikhpura, Bihar, India

1959
dekhte dekhte jab maut sitāre kī huī
phir koī sub.h kahāñ ḳhvāb ke maare kī huī
vo muhājir thā muhājir kā muhājir hī rahā
kab tire shahr meñ tadbīr guzāre kī huī
us ke farmān sabhī dil kī siyāhī ne likhe
aisī tauhīn kahāñ nūr-nazāre kī huī
bujhte bujhte bhī huī ātish-e-jāñ tez bahut
aur jo rasm thī baaqī vo sharāre kī huī
zindagī bhī kisī bāzār kī aurat kī tarah
na biyāhe kī huī aur na kañvāre kī huī
kyā sunā.ūñ tujhe rūdād-e-safar kaisī hai
dhuup aamad kī huī chhāñv ḳhasāre kī huī
yuuñ to vo chāñd bhī be-dāġh nahīñ thā 'ḳhurshīd'
aur mujh se bhī ḳhatā ek ishāre kī huī
Top Urdushayar.com