Khursheed Akbar

KHala mein tair raha hai sawal duniya ka

Khursheed Akbar

Sheikhpura, Bihar, India

1959
ḳhalā meñ tair rahā hai savāl duniyā kā
ḳhudā ko aa.egā kis din ḳhayāl duniyā kā
ye aur baat ki jannat yaqīñ se aage thī
vahāñ bhī saath gayā ehtimāl duniyā kā
hamāre nāma-e-a.amāl meñ likhā us ne
urūj-e-ādam-e-ḳhākī zavāl duniyā kā
ye vāqi.a hai ki insān mar gayā pahle
phir is ke ba.ad huā intiqāl duniyā kā
koī ḳhabar nahīñ kis vaqt aur kahāñ gir jaa.e
ḳhudā ke haath se jām-e-sifāl duniyā kā
hazār mail ko dhoyā hazār sābun se
kisī tarah bhī na chhūTā ḳhayāl duniyā kā
ajiib rañg kā piñjra hai āsmāñ nīche
tilism-e-ġhaib hai 'ḳhurshīd' haal duniyā kā
Top Urdushayar.com