din bahut saffāk niklā raat sab dukh sah ga.ī
daañt meñ uñglī dabā.e shaam tanhā rah ga.ī
sañg-rezoñ kī tarah bikhrī paḌī haiñ ḳhvāhisheñ
dekhte hī dekhte kis kī havelī Dah ga.ī
sandalī ḳhvāboñ meñ lipTe the hazāroñ azhdahe
aur phir tāsīr jism-o-jāñ meñ tah-dar-tah ga.ī
be-muravvat sā.atoñ ko roiye kyuuñ umr bhar
ek shai āñkhoñ meñ jo rahtī thī kab kī bah ga.ī
ghar kī dīvāroñ pe sabza bin ke ugnā thā mujhe
ik havā sahrā se aa.ī kaan meñ kuchh kah ga.ī