lab-e-dariyā murādoñ kā makāñ kaisā rahā hogā
ghanī palkoñ tale āb-e-ravāñ kaisā rahā hogā
dahaktī aag meñ vo sā.ebāñ kaisā rahā hogā
hamāre sar ke uupar āsmāñ kaisā rahā hogā
bahut bechain hai ḳhāk-e-bayābāñ sar paTaktī hai
divāna shahr bhar meñ be-amāñ kaisā rahā hogā
sitāre bujh ga.e hoñge zamīneñ jal rahī hoñgī
phir is ke ba.ad sair-e-lā-makāñ kaisā rahā hogā
zamīñ kī be-panāhī dekhtā huuñ yaad kartā huuñ
falak pahlū meñ tum sā mehrbāñ kaisā rahā hogā