ḳhvāb sahrā tirī ta.abīr nikal aa.ī hai
koī vahshat hai ki jāgīr nikal aa.ī hai
shāḳh-e-mizhgāñ ke parinde haiñ ye aañsū goyā
āb-o-dāna liye taqdīr nikal aa.ī hai
ḳhuuñ ubaltā hai nikaltā hai dhuāñ āñkhoñ se
dekh paanī kī ye tahrīr nikal aa.ī hai
shahr is tarah bayābāñ meñ girā hai jaise
vaqt ke paañv se zanjīr nikal aa.ī hai
zindagī tujh ko magar sharm nahīñ aatī kyā
kaisī kaisī tirī tasvīr nikal aa.ī hai
raat hai jism hai bistar hai falak pahlū meñ
chāñd niklā hai ki shamshīr nikal aa.ī hai
tez lahroñ meñ salāmat nahīñ koī 'ḳhurshīd'
kis tarah hasrat-e-tāmīr nikal aa.ī hai