Khursheed Akbar

lahu mein Dubta manzar KHilaf rahta hai

Khursheed Akbar

Sheikhpura, Bihar, India

1959
lahū meñ Dūbtā manzar ḳhilāf rahtā hai
amīr-e-shahr kā ḳhanjar ḳhilāf rahtā hai
yazīd-e-vaqt ko duniyā qubūl kar le magar
sināñ kī nok pe ik sar ḳhilāf rahtā hai
sulagtī pyaas ne kar lī hai morcha-bañdī
isī ḳhatā pe samundar ḳhilāf rahtā hai
mire usuul ke bachche bhī ehtajājī haiñ
zarā jhukūñ to mirā ghar ḳhilāf rahtā hai
maiñ chāhtā huuñ ki dushman ko surḳh-rū kar duuñ
magar safed kabūtar ḳhilāf rahtā hai
hai e'timād mujhe phāvḌoñ kī tāqat par
bas itnī baat se patthar ḳhilāf rahtā hai
ajab tarah kī tabī.at milī hai ḳhud-sar ko
ki do jahān se 'akbar' ḳhilāf rahtā hai
Top Urdushayar.com