shahr kā shahr hai be-zār kahāñ jā.ūñ maiñ
aur tanhā.ī hai dushvār kahāñ jā.ūñ maiñ
log marte haiñ sisakte haiñ maze lete haiñ
dekh kar surḳhi-e-aḳhbār kahāñ jā.ūñ maiñ
tū jo kahtā hai ki ye ḳhāk-e-vatan terī hai
maiñ kahāñ par huuñ mire yaar kahāñ jā.ūñ maiñ
ek inkār pe mauqūf haiñ saare qisse
maiñ kahāñ sāhab-e-kirdār kahāñ jā.ūñ maiñ
mujh ko rishtoñ kī tijārat kabhī manzūr na thī
sochtā huuñ sar-e-bāzār kahāñ jā.ūñ maiñ
pārsā ḳhvāb sabhī us ke tasarruf meñ rahe
raat bhī ho ga.ī badkār kahāñ jā.ūñ maiñ
koī manzil tirī niyyat se kabhī raushan ho
ai mire qāfila-sālār kahāñ jā.ūñ maiñ
ek jhanDe haiñ sabhī rañg judā haiñ un ke
kaun hai kis kā alam-dār kahāñ jā.ūñ maiñ
jitne munkir the tire saare farishte nikle
ek maiñ terā gunahgār kahāñ jā.ūñ maiñ
maiñ kināre pe khaḌā soch rahā huuñ 'ḳhurshīd'
naav ke saath hai mañjdhār kahāñ jā.ūñ maiñ