Khursheed Akbar

guzar gai hai mujhe reg-zar karti hui

Khursheed Akbar

Sheikhpura, Bihar, India

1959
guzar ga.ī hai mujhe reg-zār kartī huī
vo ek machhlī samundar shikār kartī huī
na jaane kitne bhañvar ko rulā ke aa.e hai
ye merī kashtī-e-jāñ ḳhud ko paar kartī huī
vo ek sā.at-e-ma.asūm dil kī parvarda
mukar ga.ī hai magar e'tibār kartī huī
junūñ kī āḳhirī larzīda muzmahil sī raat
jhapak ga.ī hai zarā intizār kartī huī
ye kaisī ḳhvāhish-e-nā-dīd hai dorāhe par
sahm ga.ī hai abhī mujh pe vaar kartī huī
lipaT ke so ga.ī āḳhir sham-e-firāq ke saath
shab-e-siyāh sitāre shumār kartī huī
safar meñ kaisī harārat qarīb thī 'ḳhurshīd'
utar ga.ī hai mujhe dhār-dār kartī huī
Top Urdushayar.com