asbāb kahāñ jān-e-jahāñ dekhte rahnā
ḳhālī koī dam hai ye makāñ dekhte rahnā
tā-umr tire shahr meñ rahnā bhī nahīñ hai
miltī hai kahāñ jā-e-amāñ dekhte rahnā
palkoñ pe koī hai lab-e-iz.hār kī sūrat
rakhtā huuñ maiñ ḳhanjar pe zabāñ dekhte rahnā
aañsū mire bachchoñ kī tarah ḳhuun se kheleñ
kuchh khel nahīñ ghar kā ziyāñ dekhte rahnā
ik arsa-e-jāñ tak hī ye manzar nahīñ mauqūf
phir qissa-e-ālam hai dhuāñ dekhte rahnā
bauchhār hai tīroñ kī vo rahvār akelā
kitnā hai shitābī ye samāñ dekhte rahnā
duniyā kisī maqtal meñ hai zindoñ kī gavāhī
jaate haiñ kahāñ piir o javāñ dekhte rahnā
hogī kisī mañjdhār ke siine pe mirī naav
dariyā hai mire saath ravāñ dekhte rahnā
tārīk ufuq par vo ajab shaan se niklā
'ḳhurshīd' se raushan hai jahāñ dekhte rahnā