muqaddas pattharoñ par mudda.ā raushan na hone kā
kahāñ sar phoḌiye ab mo.ajaza raushan na hone kā
bhaTaktā phir rahā huuñ nafs ke andhe jazīre meñ
sunā hai apne hisse kā ḳhudā raushan na hone kā
sarāyat kar ga.iiñ īmān kī ḳhush-fahmiyāñ ḳhuuñ meñ
darūn-e-qalb koī vasvasa raushan na hone kā
mire talvoñ pe masnad ho ga.e kāñTe bayābāñ ke
dil-e-vahshat-zada meñ aabla raushan na hone kā
maiñ us kī pahlī bārish ban ke pī jā.ūñgā chupke se
nahīñ to is zamīñ kā zā.iqa raushan na hone kā