Khursheed Akbar

yaqin hai jis pe wahi bad-guman nikalta hai

Khursheed Akbar

Sheikhpura, Bihar, India

1959
yaqīñ hai jis pe vahī bad-gumāñ nikaltā hai
mirī zamīn se us kā makāñ nikaltā hai
hamāre shahr meñ hotā hai sāneha lekin
ḳhatā kahāñ kī hai ġhussa kahāñ nikaltā hai
ye aur baat ki vo paak sar-zamīñ hai magar
vahāñ kī ḳhaak se hindostāñ nikaltā hai
mire liye to akelā ḳhudā bahut hai magar
tumhāre vāste saarā jahāñ nikaltā hai
siyāh raat sitāre bujhātī rahtī hai
ye merā ḳhvāb-sitāra kahāñ nikaltā hai
safar hai dhuup samundar kā aur jazīre sā
kahīñ kahīñ pe koī sā.ebāñ nikaltā hai
manā rahā hai vo jashn-e-shabāb maqtal meñ
har ek laash kā chehra javāñ nikaltā hai
tumhāre ghar meñ abhī kitnī raushnī hogī
hamāre ghar se abhī tak dhuāñ nikaltā hai
kahā kisī ne siyah-posh ho gayā 'ḳhurshīd'
sunā kisī ne dam-e-kahkashāñ nikaltā hai
Top Urdushayar.com