Khursheed Akbar

bhaTak rahi hai ruh ke andar lazzat sukhi gili si

Khursheed Akbar

Sheikhpura, Bihar, India

1959
bhaTak rahī hai ruuh ke andar lazzat sūkhī giilī sī
jaise rasta bhuul ga.ī ho ek nadī pathrīlī sī
mere us ke biich kā rishta ik majbūr zarūrat hai
maiñ sūkhe jazboñ kā īñdhan vo māchis kī tiilī sī
dekhūñ kaisī fasl ugātā hai mausam tanhā.ī kā
dard ke biij kī nasl hai ūñchī dil kī miTTī giilī sī
darvāze par muñh laTkā.e qillat rañg-o-roġhan kī
āñgan āñgan jashn manā.e ḳhvāhish niilī piilī sī
mujh ko baañT ke rakh detī hai dhuup chhāñv ke ḳhemoñ meñ
kuchh be-ġhairat sī masrūfī kuchh fursat sharmīlī sī
din bhar kī jāñ-soz thakan kā ajr chukāne ko 'ḳhurshīd'
shaam ke parbat par baiThī hai ik saa.at nokīlī sī
Top Urdushayar.com