dariyā meñ bahut kuchh hai ravānī ke alāva
muddat se maiñ sairāb huuñ paanī ke alāva
ai shahr-e-sitam-zād tirī umr baḌī ho
kuchh aur batā naql-e-makānī ke alāva
īmān-shikan paikar-e-doshīza-e-ālam
sab kuchh hai tire paas javānī ke alāva
kis ahd-e-gunahgār ne lī āḳhirī hichkī
masrūf haiñ sab fātiha-ḳhvānī ke alāva
rañgoñ ko baratne kā hunar siikh chukā huuñ
kyā chāhiye ab terī nishānī ke alāva
duniyā se ta.alluq kā sabab kis ko batā.ūñ
ab dost kahāñ dushman-e-jānī ke alāva
kyā duuñ tujhe jaatī huī jāñ-bāz bahāro
kuchh paas nahīñ barg-e-ḳhizānī ke alāva
har shaḳhs mudāvā hai aqīdat se hai be-zār
mohlat hai kise pīr-e-muġhānī ke alāva
ash.ār kahāñ dete haiñ muñh dekhī gavāhī
'ḳhurshīd' kahāñ nūr-e-ma.ānī ke alāva