ġhulām sar pe ibādat abhī na rakkhī jaa.e
ḳhudā ke naam baġhāvat abhī na rakkhī jaa.e
maiñ Thīk-Thāk to kar luuñ hasab-nasab apnā
lahū pe shart-e-nadāmat abhī na rakkhī jaa.e
ki jis kī aañch se jibra.īl-e-āgahī jhulseñ
anā meñ itnī tamāzat abhī na rakkhī jaa.e
hamāre shahr kī miTTī hai shar-pasand bahut
yahāñ fasīl-e-hifāzat abhī na rakkhī jaa.e
bahisht-rañg murādoñ kī jā-namāzoñ par
munāfiqoñ kī siyāsat abhī na rakkhī jaa.e
safed-poshī-e-zillat bahut hai jiine ko
sar-e-janāb-e-sharāfat abhī na rakkhī jaa.e
hamāre ḳhuuñ se ibārat hai shajra-e-tahzīb
yahāñ pe mohr-e-siyādat abhī na rakkhī jaa.e