ka.ī nā-āshnā chehre hijāboñ se nikal aa.e
na.e kirdār maazī kī kitāboñ se nikal aa.e
ham apne ghar meñ bhī ab be-sar-o-sāmāñ se rahte haiñ
hamāre silsile ḳhāna-ḳharāboñ se nikal aa.e
hameñ sairāb karne ke liye dariyā machalte the
magar ye pyaas ke rishte sarāboñ se nikal aa.e
chalo achchhā huā āḳhir tumhārī niiñd bhī TuuTī
chalo achchhā huā ab tum bhī ḳhvāboñ se nikal aa.e
na jaane 'shād' un kā qarz maiñ kaise chukā.ūñgā
mire bhī naam kuchh lamhe hisāboñ se nikal aa.e