vo kaun haiñ phūloñ kī hifāzat nahīñ karte
sunte haiñ jo ḳhushbū se mohabbat nahīñ karte
tum ho ki abhī shahr meñ masrūf bahut ho
ham haiñ ki abhī zikr-e-shahādat nahīñ karte
qur.ān kā mafhūm unheñ kaun batā.e
āñkhoñ se jo chehroñ kī tilāvat nahīñ karte
sāhil se sunā karte haiñ lahroñ kī kahānī
ye Thahre hue log baġhāvat nahīñ karte
ham bhī tire beTe haiñ zarā dekh hameñ bhī
ai ḳhāk-e-vatan tujh se shikāyat nahīñ karte
is mausam-e-jam.hūr meñ vo gul bhī khile haiñ
jo sāhib-e-ālam kī himāyat nahīñ karte
ham banda-e-nāchīz gunahgār haiñ lekin
vo bhī to zarā bārish-e-rahmat nahīñ karte
chehre haiñ ki sau rañg meñ hote haiñ numāyāñ
ā.īne magar koī siyāsat nahīñ karte
shabnam ko bharosa hai bahut barg-e-amāñ par
'ḳhurshīd' bhī dānista qayāmat nahīñ karte