vo ik chaTān jo paanī huī salīqe se
nadī kuchh aur siyānī huī salīqe se
nigah kī dhaar meñ ḳhanjar kā zā.iqa utrā
diloñ kī baat zabānī huī salīqe se
ise bhī khā ga.ī tahzīb dīmakoñ kī tarah
na.ī kitāb purānī huī salīqe se
vo ek raat jo pahlū meñ mutma.in thī bahut
qayāmatoñ kī nishānī huī salīqe se
uThe jo shahr se sahrā pe vo baras bhī ga.e
ġhamoñ kī naql-e-makānī huī salīqe se
mire lahū se haiñ gul-rañg hasrateñ us kī
sazā kī shaam suhānī huī salīqe se
kisī kā qurb kabūtar ke pañkh jaisā thā
badan kī aag bhī paanī huī salīqe se