saroñ par taaj rakkhe the qadam par taḳht rakkhā thā
vo kaisā vaqt thā muTThī meñ saarā vaqt rakkhā thā
vo tanhā ḳhāksārī thī nibhāyā umr bhar us ne
mizāj-e-shāh-e-ālamgīr varna saḳht rakkhā thā
bahut sāmān thā ghar meñ bahut sī ne.amateñ bhī thiiñ
musāfir ne magar apnā safar be-raḳht rakkhā thā
gire the dhīre dhīre saare kañgūre zamāne ke
havelī meñ to ab ke lā-makāñ yak-laḳht rakkhā thā
maiñ sab ko chhoḌ kar duniyā tire raste pe aa jaatā
magar is rāste meñ bhī dil-e-kam-baḳht rakkhā thā