ab andheroñ meñ jo ham ḳhauf-zada baiThe haiñ
kyā kaheñ ḳhud hī charāġhoñ ko bujhā baiThe haiñ
bas yahī soch ke taskīn sī ho jaatī hai
aur kuchh log bhī duniyā se ḳhafā baiThe haiñ
dekh le jān-e-vafā aaj tirī mahfil meñ
ek mujrim kī tarah ahl-e-vafā baiThe haiñ
ek ham haiñ ki parastish pe aqīda hī nahīñ
aur kuchh log yahāñ ban ke ḳhudā baiThe haiñ
'shād' tū bazm ke ādāb samajhtā hī nahīñ
aur bhī log yahāñ tere sivā baiThe haiñ