Khushbir Singh Shaad

ye tum har baat lafzon ki zabani kyun samajhte ho

Khushbir Singh Shaad

Sitapur, Uttar pradesh, India

1954
ye tum har baat lafzoñ kī zabānī kyuuñ samajhte ho
sukūt-e-lab ko āḳhir be-ma.ānī kyuuñ samajhte ho
ye mumkin hai yahīñ tak ho tumhārī tāb-e-bīnā.ī
nazar kī had ko āḳhir be-karānī kyuuñ samajhte ho
agar sach hai tumhārī maut kā ik din muayyan hai
to phir is tai-shuda ko nā-gahānī kyuuñ samajhte ho
yaqīñ rakkho samundar kī saḳhāvat par yaqīñ rakkho
hamesha ḳhālī haath aa.egā paanī kyuuñ samajhte ho
ye mumkin hai tumhārā aks hī barham ho chehre se
ise tum aa.ine kī sargirānī kyuuñ samajhte ho
mire ash.ār meñ jo dard kī shiddat hai merī hai
mire ehsās ko apnī kahānī kyuuñ samajhte ho
yahāñ zāhir kā chehrā muḳhtalif hotā hai bātin se
khilī rañgat ko dil kī shādmānī kyuuñ samajhte ho
Top Urdushayar.com