koī savāl na kar aur koī javāb na pūchh
tū mujh se ahd-e-guzashta kā ab hisāb na pūchh
safīne kitne hue is meñ ġharq-e-āb na pūchh
tū mere dil ke samundar kā iztirāb na pūchh
maiñ kab se niiñd kā maarā huā huuñ aur kab se
ye merī jāgtī āñkheñ haiñ mahv-e-ḳhvāb na pūchh
safar meñ dhuup kī shiddat ne bhī satāyā magar
fareb dete rahe kis qadar sarāb na pūchh
kabhī uruuj pe thā ḳhud pe e'timād mirā
ġhurūb kaise huā hai ye āftāb na pūchh