Khushbir Singh Shaad

nai mushkil koi darpesh har mushkil se aage hai

Khushbir Singh Shaad

Sitapur, Uttar pradesh, India

1954
na.ī mushkil koī darpesh har mushkil se aage hai
safar dīvāngī kā ishq kī manzil se aage hai
mujhe kuchh der meñ phir ye kinārā chhoḌ denā hai
maiñ kashtī huuñ safar merā har ik sāhil se aage hai
khaḌe haiñ saañs roke sab tamāsha dekhne vaale
ki ab mazlūm bas kuchh hī qadam qātil se aage hai
mujhe ab ruuh tak ik dard sā mahsūs hotā hai
to kyā vus.at mire ehsās kī is dil se aage hai
mire is kār-e-be-masraf ko kyā samjhegī ye duniyā
mirī ye sa.i-e-lā-hāsil har ik hāsil se aage hai
ye aksar 'shād' rakhtī hai mujhe ḳhush rañg lamhoñ se
mirī tanhā.ī terī raunaq-e-mahfil se aage hai
Top Urdushayar.com