Afroz Alam

jaga junun ko zara naqsha-e-muqaddar khinch

Afroz Alam

Gopal Ganj, Bihar, India

1975
jagā junūñ ko zarā naqsha-e-muqaddar khīñch
na.ī sadī ko na.ī karbalā se bāhar khīñch
maiñ zehnī taur pe āvāra hotā jaatā huuñ
mire shu.ūr mujhe apnī had ke andar khīñch
na.ī zamīn lahū kā ḳhirāj letī hai
dayār-e-ġhair meñ bhī ḳhushnumā sā manzar khīñch
udaas raat meñ taare gavāh bante haiñ
rag-e-habāb se tū qātilāna ḳhanjar khīñch
abhī sitāroñ meñ baaqī hai zindagī kī ramaq
kuchh aur der zarā narm garm chādar khīñch
vajūd-e-shahr to jañgal meñ Dhal chukā 'ālam'
ab is jagah se mujhe jānib-e-samundar khīñch
Top Urdushayar.com