Afroz Alam

attar ke maskan mein ye kaisi udasi hai

Afroz Alam

Gopal Ganj, Bihar, India

1975
attār ke maskan meñ ye kaisī udāsī hai
sone kī muqābil meñ har samt hī miTTī hai
tū sāhab-e-qudrat hai tū apnā karam rakhnā
sahrā kī taraf maa.il hālāt kī kashtī hai
raushan hai daraḳhshāñ hai ye daur ba-zāhir to
mazdūr ke bas meñ to bas riiḌh kī haDDī hai
lamhoñ kī ta.āqub meñ sadiyoñ kī dharohar thī
afsos ke dāman meñ ġhurbat kī ye bastī hai
vo sāhab-e-masnad haiñ is se unheñ kyā matlab
jazboñ ke darīchoñ se jaarī koī naddī hai
har ḳhvāb shikasta hai ta.amīr-e-nasheman kā
har sub.h ke māthe par bāzār kī garmī hai
kuchh aur masā.il se uljhegā abhī 'ālam'
har sāhib-e-ālam pe chhā.ī abhī mastī hai
Top Urdushayar.com