guzre lamhāt kā ehsās huā jaatā hai
dāman-e-vaqt yūñhī mujh se chhaTā jaatā hai
maiñ ujāle ko mohabbat kā ḳhudā likhtā huuñ
vo añdhere hī se mānūs huā jaatā hai
jis kī ḳhushbū se fazāoñ meñ mahak thī shab-bhar
sub.h-dam us kī taraf saañp baḌhā jaatā hai
mujh ko Dar hai koī aabid na bahak jaa.e kahīñ
dil-rubā chāñd kā andāz huā jaatā hai
duur rah kar bhī rag-e-jāñ se lipaT jaate haiñ
aur is dil meñ ujālā sā huā jaatā hai
is qadar zahr pilāyā mujhe us ne 'ālam'
talḳhī-e-zīst kā ehsās miTā jaatā hai