shams ma.adūm hai tāroñ meñ ziyā hai to sahī
chāñdnī raat meñ mad-mast havā hai to sahī
ḳhvāhish-e-ishq kī takmīl kahāñ hotī hai
garche vo shoḳh nahīñ shoḳh-numā hai to sahī
āhaTeñ jaag ke tārīḳh ko dastak deñgī
aas ke siine meñ ek zaḳhm harā hai to sahī
sub.h kī raah meñ zulmāt ke sañg aate haiñ
maiñ ne har sañg ko Thokar pe rakhā hai to sahī
haañ usī uqde se uljhā hai taḳhayyul kā shu.ūr
ya.anī uljhā huā hāthoñ meñ sirā hai to sahī
jumbish-e-lab se mire daar pe sar aate haiñ
phir bhī kuchh raaz fazāoñ meñ khulā hai to sahī
garche maiñ hādī-o-rahbar nahīñ huuñ 'ālam' kā
phir bhī hāthoñ meñ mere ek asā hai to sahī