Afroz Alam

yun KHabar kise thi meri teri muKHbiri se pahle

Afroz Alam

Gopal Ganj, Bihar, India

1975
yuuñ ḳhabar kise thī merī tirī muḳhbirī se pahle
maiñ masarratoñ meñ gum thā tirī dostī se pahle
tire husn ne jagāyā mere ishq-e-be-bahā ko
tirī justujū kahāñ thī mujhe shā.irī se pahle
tū sharīk-e-zindagī hai maiñ huuñ ġham-gusār terā
terā ġham rahā hai shāmil merī har ḳhushī se pahle
de agar mujhe ijāzat jo mirā zamīr mujh ko
maiñ tujhe ḳhudā banā luuñ tirī bandagī se pahle
tire husn kī kahānī mire ishq kā fasāna
bahut aam ho chukā hai ġham-e-āshiqī se pahle
tujhe rahnumā banā kar mujhe mil ga.ī hai manzil
maiñ bahut bhaTak rahā thā tirī rahbarī se pahle
kaho mīr-e-kārvāñ se mujhe is tarah na dekhe
maiñ baḌā farāḳh-dil thā kabhī dil-lagī se pahle
ye matā-e-ranj-o-ġham aur shab-e-hijr kā ye 'ālam'
thā kahāñ mirā muqaddar tirī be-ruḳhī se pahle
Top Urdushayar.com