jab apnā saaya hī dushman hai kyā kiyā jaa.e
yahī to zehn kī uljhan hai kyā kiyā jaa.e
haiñ jis ke haath meñ zarre bhī māh-o-anjum bhī
usī ke haath meñ dāman hai kyā kiyā jaa.e
udaas baam pe mausam ne khol diiñ zulfeñ
kisī biyog meñ jogan hai kyā kiyā jaa.e
vo shām-e-lutf-o-tarab aur chāñdnī sā badan
isī ḳhumār meñ nāgan hai kyā kiyā jaa.e
vo apnī shoḳh adāoñ se lūTtā hai mujhe
bahut hasīn ye rahzan hai kyā kiyā jaa.e
vafā-parast hai ātish-fishāñ kā rakhvālā
sanam-kade meñ barahman hai kyā kiyā jaa.e
fareb detā hai 'ālam' pe raaj kartā hai
adū ke haath meñ har fan hai kyā kiyā jaa.e