mauj-dar-mauj havāoñ se bachā lā.ūñgā
ḳhud ko maiñ dasht ke panjoñ se chhuḌā lā.ūñgā
hausla rakhiye maiñ sahrā se palaT ā.ūñgā
zarre zarre se mohabbat kā pata lā.ūñgā
mere hāthoñ kī lakīroñ meñ jo haiñ uljhe hue
un hī gesū ke liye phuul bachā lā.ūñgā
tere māthe pe chamakte hue rañgoñ kī qasam
tire hoñToñ pe tarannum kī sadā lā.ūñgā
maiñ jo pāband-e-vafā huuñ tū vafā zinda hai
maiñ isī tarz-e-riyāzat kā sila lā.ūñgā
mausam-e-ḳhushk huā tez magar va.ada rahā
surḳh phūloñ ke liye nām-e-vafā lā.ūñgā
shab kī tanhā.ī meñ āñkhoñ se lahū Tapkegā
aise 'ālam' kī maiñ tasvīr banā lā.ūñgā