Afroz Alam

Thokar se faqiron ki duniya ka bikhar jaana

Afroz Alam

Gopal Ganj, Bihar, India

1975
Thokar se faqīroñ kī duniyā kā bikhar jaanā
ḳhvāhish kā laraz jaanā asbāb kā Dar jaanā
ākāsh ke māthe pe jaadū kā sabab ye hai
tāroñ kā chamak jaanā chandā kā nikhar jaanā
aa tujh ko batā duuñ maiñ achchhī sī ġhazal kyā hai
afkār ke sāñche meñ lafzoñ kā utar jaanā
iqrār-e-mohabbat kī nāzuk sī dalīleñ haiñ
āñkhoñ meñ chamak aanā zulfoñ kā sañvar jaanā
be-rabt dalīleñ haiñ us shoḳh kī bātoñ meñ
kuchh der talak kahnā phir kah ke mukar jaanā
duniyā jise kahtī hai vo nīl-kamal tum ho
har jhiil ko jachtā hai tirā khil ke ubhar jaanā
tum merī zarūrat ho 'ālam' yahī kahtā hai
is baat kā matlab hai tire bin mirā mar jaanā
Top Urdushayar.com