phaile hue ġhubār kā phir mo.ajiza bhī dekh
raste se jo bhaTak gayā vo qāfila bhī dekh
maiñ ne to āsmān ko Thokar pe rakh liyā
zarre meñ kā.enāt kā ye zāviya bhī dekh
kab tak tū saare shahr ko baunā batā.egā
ḳhud par bhī kar nigāh kabhī ā.īna bhī dekh
mere laboñ pe dekh na tū ḳhāmushī kī mohr
tū apnī harkatoñ kā zarā silsila bhī dekh
shahr-e-anā meñ aa.ine ke rū-ba-rū huuñ maiñ
ehsās kī nazar se mirā hausla bhī dekh
'ālam' na.e jahān kī satvat bayān kar
sadiyoñ se jis pe nuur hai vo rāsta bhī dekh