Afroz Alam

jigar ko KHun kiye dil ko be-qarar abhi

Afroz Alam

Gopal Ganj, Bihar, India

1975
jigar ko ḳhuun kiye dil ko be-qarār abhī
bhaTak rahe haiñ tire ishq meñ hazār abhī
isī liye to ye duniyā dhulī dhulī sī lage
tire firāq meñ ro.e haiñ zār-zār abhī
adā-e-ḳhār se gulshan kī baḌh ga.ī zīnat
agarche phūloñ ke dāman haiñ taar taar abhī
siyāh-baḳht fazāoñ meñ dil huā bad-zan
tirī zabān ke tevar haiñ āb-dār abhī
abhī na niklegā hāsil hamārī bātoñ kā
tumhāre sar pe hai saaya koī savār abhī
ye dekhte haiñ ki kal rañg-e-sub.h kyā hogā
ki āftāb kā 'ālam' hai intizār abhī
Top Urdushayar.com