hisār-e-dīd meñ roīdagī mālūm hotī hai
to kyuuñ andesha-e-tishna-labī mālūm hotī hai
tumhārī guftugū se aas kī ḳhushbū chhalaktī hai
jahāñ tum ho vahāñ pe zindagī mālūm hotī hai
sitāre misl jugnū zā.iche meñ raqs karte haiñ
zarā sī der meñ kuchh raushnī mālūm hotī hai
jahāñ par ek jogan mast ho kar gungunātī hai
usī sāhil pe ik girtī nadī mālūm hotī hai
udāsī zulf kholegī dinoñ kī yaad meñ gum hai
shu.ūr-e-gul ko fikr-e-tishnagī mālūm hotī hai
jahāñ pe phuul khiltā hai sañvartā hai bikhartā hai
usī shāḳh-e-mohabbat pe kalī mālūm hotī hai
satātī hai tumhārī yaad jab mujh ko shab-e-hijrāñ
mujhe ḳhud apnī hastī ajnabī mālūm hotī hai
tumhāre lams ko maiñ jab kabhī mahsūs kartā huuñ
bahut halkī sahī ik raushnī mālūm hotī hai
fanā honā añdherī raat kī taqdīr hai 'ālam'
mujhe ye bebasī bhī zindagī mālūm hotī hai