vahshateñ bhī kitnī haiñ āgahī ke paikar meñ
jal rahā hai sūraj bhī raushnī ke paikar meñ
raat merī āñkhoñ meñ kuchh ajiib chehre the
aur kuchh sadā.eñ thiiñ ḳhāmushī ke paikar meñ
har taraf sarāboñ ke kuchh hasīn manzar the
aur maiñ bhī hairāñ thā tishnagī ke paikar meñ
maiñ ne to tasavvur meñ aur aks dekhā thā
fikr muḳhtalif kyuuñ hai shā.erī ke paikar meñ
ruup rañg miltā hai ḳhadd-o-ḳhāl milte haiñ
aadmī nahīñ miltā aadmī ke paikar meñ
kyā batā.eñ ham dil par 'shād' kyā guzartī hai
ġham chhupānā paḌtā hai jab ḳhushī ke paikar meñ